Thursday, 3 April 2014

Urdu Funny Poetry Funny Urdu JOkes Poetry Shayari Sms Quotes Covers Pictures Pics Questions Cover PHotos

Urdu Funny Poetry Biography

Source(google.com.pk)
Do afimi sarak ke kinare baithe huye the aur bare sanjidah mood mein guftagu kar rahe the. Pehla afimi apne sathi se bola. "Bujho meri mut'thi mein kia hai?"

Dusra afimi bari maasum’yat se bola.”Rail gari ka Engine hai.”

Pehla afimi bola-“Tumhain kaise pata chala?”

Dusre ne jawab dia. “Dhuyan jo nikal raha hai.”
Aik bus driver bus buhat taiz chala raha tha. Driver achanak zor zor se qehqahe lagane laga. Is gari mein Yunus Khan bhi mojud tha.

Is ne driver se hansne ki wajah puchi to woh khil khila kar bola.

“ mein to yeh sonch kar hans raha hon keh jab pagal khane walon ko pata chale ga keh main pagal khane se farar ho gia to kitna maza aaye ga.”
Aik dafa mein cricket team ke kuch khelari safar kar rahe the aur aapas mein lar jhagar rahe the. Aik buzurg in ki wajah se buhat ghusse mein the jab in se raha na gia to uth kar bole. Allama Iqbal ne sach hi kaha tha
“Utha ke phaink do gali mein bahir
Nayi tehzeeb ke anday hain ganday”

Aik khelari khara ho kar bola- “ Baba gi Allama Iqbal ne yeh is waqt kaha tha jab aap jawan the hum to is waqt paida hi nahi huye the.”
Coach ne team ko lecture dete huye bataya. “Dilli mein aik bara Minar hai.”
Salman But kisi aur kheyal mein tha. Coach saheb ne sar uthaya aur pucha mein ne kia kaha hai to who bar bara kar bola. “Aap ne kaha hai keh Gali mein aik kutta bimaar hai.”
Maan(Beta se): “ Agar tu mere kehne par amal nahi kare ga to mein tujhe sakht saza dongi.”

Beta(maan se) “ kon si saza dein gi.”

Maan –“ mein tujhe cricket ka khelari bana dungi aur tu sari umer dhoop mein jalta rahe ga.”
Teen aurat aapas mein gappein laga rahi thin. Aik boli mein brown color ki car lungi, kiun keh mere shohar ke balon ka rung brown hai.

Dusri ne kaha “ mein black colour ki car lungi kiun keh mere ke baalon ka rung kala hai.

Tisri aurat boli. “ mein to phir beghair chat ki car lungi kiun keh mere shohar to ganje hain.
aik angrez(english) nay Hazraht Hussain Nizami say pucha.

"saray anrezon ka rung aik sa hota hai lekin patah nahi kiun saray hundustaniyon ka rung aik sa nahi hota."

khuajah Hussain Nizami nay jawab dia.

saray ghoron kay rung mukhtalif hotay hain lekin saray gadhon ka rung aik sa hota hai.

Aik burha siasat dan taqreer karnay laga to is kay masnuyi daant nikal kar gir paray is nay jaldi say utha kar laga liye. Phir taqreer shuru ki to phir daant gir paray. Isi tarah jab teen char bar hua to logon mein say kisi maskharay nay kaha.

Cassette hi tabdeel kartay rahain gay ya kuch kahain gay bhi.
Aik larka apnay dost ko bata raha tha. “ Meray abu mein bari khubyan hain. Bahadur itnay jaisay sheer, tandarust itnay hain jitna Hathi aur ankhain to baaz ki tarah taiz hain.

Dusra dost foran bola. Agar hum in ko dekhna chahain to ketnay ka ticket lena hoga.
aik aurat dental surgeon kay kamray mein dakhil huyi aur muhabbat say boli. "mujhay jaldi hai doctor! aap ko aik daant foran nikalna hai, barah karm apni fees bata dein.

Doctor nay fees batayi to aurat nay kaha. " yeh to buhat ziadah hai. "doctor nay kaha "is mein fees kay elawah jild ko sun karnay wali medicine ki qimat bhi shamil hai."

aurat nay kaha. " aap medicine ko chorain aur yunhi daant nikal dein.

doctor nay hairat say kaha " aap jaisi bahadur aurat mein nay kabhi nahi dekhi."

daant mera nahi meray shohar ka nikalna hai woh bahir baitha hua hai. aurat nay kaha.

Aik saheb London kay kisi hotal mein khana khanay gaye. Woh murghi khana chahtay the lekin ain waqt par woh murghi ki English bhool gaye. Woh isi sonch mein the keh beray nay aakar kaha. “what do you want?”

In saheb nay jawab dia. I want egg’s mother.
Judge: (chor say) tum nay is dukan mein chori kiun ki.
Chor( judge say) janab dukan par likha tha.
Aao aur le jaao.

Aik saheb dusray say. Is dafa mein nay Qurbaani ka sara gost baant dia.
Dusray hairan hotay huye. “ bhayi hairat hai hum nay to dekha nahi. Aap nay kahan gosht baanta?”

Apnay freezer mein. in saheb nay itminan say jawab dia.

Beta ( maan say)- ammi aap mujhay rozanah school kiun bhejti hain?
Maan- beta tumhain aik acha insane banana kay liye.
Beta- lekin mastar saheb to mujhay roz murgha bana detay hain.

No comments:

Post a Comment