Funny Jocks In Urdu Biography
Source(google.com.pk)
Stock exchange yani wo adara jahan kampanioon kay shares ki khareed-o farokht ki jati hai. Wahan kam karne wala broker aik dafa bimar ho gia. Hospital main nurse bar bar thermometer se bukhar ka temperature le rahi thi, kabhi aik so, kabhi aik so aik, kabhi aik so do degree , kabhi aik so teen… aur broker neem behoshi ki halat main leta hoya tha.
Is ka bokhar(fever) aik moqa per kafi ziada ho gia to nurse ne tashweesh main doctor ko unchi aawaz main pokar ker kaha doctor aik so char ---- broker lety lety zor se chillaya foran bach do.
Teen choroon ne mil ker aik jagha chori ki. Paise apne thikane per le ker aaye to aik dosre se bole pahle paise gin lety hain phir aaram karte hain. In main se aik chor ne ye kaha.
Bhai mughe to neend aarahi hai main to sota hoon, lakin tum log be imaani na karna kiun keh mujhe subha ka akhbar parhr ker bhi chori ki raqam ka pata lag jayega k hum ne ketne raqam churaee hai.
Padri nay bachay say poocha. Betay daak khana kahan hai?
Bachay nay isharay say bata dia.
Padri buhat khoosh hua aur bola. Shabash betay! Kal tum girja ghar aana mein tumhein is kay silay mein jannat ka rastah bataon ga.
Bacha bola: Father! Jab app ko dak khanay ka rastah nahi maaloom to aap mujhay jannat ka rastah kia batayein gay.
Aik dost doosray say yar tum apnay doston ko har khushi kay moqa par kabootron ka jora kiun detay ho.
Doosra dost: is liye keh woh doosray din meray pas wapis aajatay hain.
Do pagal aik train mein safar kar rahay the pehlay pagal nay doosray pagal say poocha.
Pehla pagal: kia aap lahor jayeingay
Doosra pagal nahi mein Lahore jaonga.
Pehla pagal acha mein samjha aap Lahore jayein gay.
Mastar (Fareed say): Class mein kon shor kar raha tha?
Fareed: Janab mujhay nahi maaloom mein to apni baton mein laga hua tha.
Mutahin Saheb aik lamhey kay liye kamra imtehan se baher gaye wapis aaye to dekha keh imtahan dene waley chand bachey aik doosrey kay sath baith kar aapus main batein karrahey hain. Mutahin nay foran qareeb aakar poocha yeh kia ho raha hai. Aapni aapni jagha se kiun uth kar yahan aagaye ho? Percha aapas main batain ker ke kiun ker rahe ho.
Bachon mein se aik ne jawab dia hamarey sir ne kaha tha kay har kam aapas mein mil jul kar karna chahiye.
Aik kanjus shaks ki murghi chori hoi is ne faisla kia kay das din tak roti nahi khaye ga takeh mughi ka noksan poora ho jaye do din khana khanay se wo bohat dubla ho giya. Aik din wo shahar jaraha tha rastey mein is sa ziada dubla aadmi mila kanjus is se kahne laga bhayi meri to murghi chori hogayi hai magar yun lagta hai jaisay tumhari bakri khogayi hai.
Aik burhya tangay kay nichay aagayi to sipahi nay tangay walay ko pakr kar poocha. Tum nay burhya ko takkar kiun mari hai?
Tangay wala khamosh khara raha. Burhya kehnay lagi: ab kiun nahi boltay? Pehlay to bara shor macha raha rahay the keh bach mayi bach mayi ….. ab bol.
Aik restaurant mein gahak nay shikayat ki keh mein gosht ka yeh parcha mosalsal 40 minute say katnay ki koshish kar raha hon magar nakam hon.
Aap pareshan mat hon! Behray nay itminan say jawab di restaurant aik bajay tak khula rahe ga.
Yar pareshan kiun ho? Hostel mein rehnay walay aik larkay nay doosray say poocha.
Woh bola kia bataon yar! Ghar khat likha tha keh table lamp khareedna hai paisay bhej dein lekin inhon nay table lamp hi bhej dia hai.
Gayon mein aik shakhs ka inteqaal ho gia aik saheb tazyat kay liye in kay betay kay pas gaye aur poocha marhoom ko kia bimari thi.
Betay nay jawab mein kaha burhapa khood aik bimari hai.
Woh saheb bolay: Waqai hamaray mohallay mein bhi teen char bachay isi bimari mein maray hain.
Aik hotal kay bahir board laga tha keh khanay khoob kaiye bill aap kay potay ada karein gay aik shakhs nay khoob pait bhar kar khana khaya thori der baad wetter bil lay kar aagia who shakhs hairan hua keh yeh bil kaisa hai? Wetter nay kaha yeh is khany ka bill hai jo aap kay DADA nay khaya tha
Aik gappo: agar hadse main aik kan kat jaye to kia hoga?
Doosra gappo: main soon nahi sakoonga.
Pahla gappo: aur agar donoon kan kat jaye to?
Doosra : to main dakh nahi sakoonga.
Pahla: kiun wo kaise?
Doosra: kiun keh main phir ainak kaise lagaunga?
Aik dost (dosre dost se): yar main bara fikar mand hoon, mari beti ka qad nahi barhta, kuch alaj batao.
Dost: bara acha tareeqa batata hoon tum apni beti ka naam menhgayi rakh lo phir dekhna is ka qad kitni rafter se barhta hai.
No comments:
Post a Comment